Ek Din Achanak Part 13
Idhar Jay aur Sonali in sab se bekhabar movie dekhne mein busy the. Unhen pata nahin tha unke peeche kya hungama ho gaya hai. Bas ek doosre ki bahon mein pade pade movie ka luft utha rahe the.
Idhar Raj ne socha aunty to maani nahin lekin uncle ko batane se kaam ban jayega. Lekin Raj ko dar bhi lag raha tha unke paas jaane mein kyunki wo bahut gusse wale the. Isliye pehle Raj Aunty ke paas hi gaya tha lekin itna risk to use uthana hi tha.
Aunty ke thappad ke nishaan abhi bhi uske gaal par chape the lekin Raj ko to kisi bhi halat mein un dono ko ek doosre se alag karna tha. Isliye chal pada Uncle se milne unke office mein. Uncle ek Travel Agency chalate the aur unka waasta Driver, cleaner se padta tha jisse unhen kabu mein rakhne ke liye gusse aur gaaliyon se baat karni padti thi. Yahi sab ab unke behavior ka atoot hissa ban chukka tha.
Dhadakte dil ke saath Raj office mein pahuncha to paya Uncle office mein nahin hain. Poochne par pata chala koi ek ghante baad aayenge. Raj ne soch liya aaj chahe kitni der kyun na ho jaye wo baat karke hi jayega. Baar baar school se chutti thode hi na milegi.
Idhar movie bhi khatam ho gayi aur thodi der mein school time bhi.
Jay aur Sonali ek dure ko flying kiss karke apne apne ghar ke liye chal diye.
Sonali apne ghar wapas aayi to uski maa kashmakash mein thi ki ek jawan beti se aise sawal pooche to kaise pooche. Use apni beti par poora vishwas tha aur wo usse aise sawal pooch kar apni hi aankhon mein sharminda nahin hona chahti thi. Unhone socha ye Raj ladka mujhe theek nahin lagta. Ho sakta hai isne jaanbhujkar aisa kaha ho. Jay aur Sonali ek school mein padhte hain to dono mein baat-chit hoti hi rehti hogi. Main bhi jab college mein padhti thi to kai saare ladke mere dost the. Lekin jis tarah ki wo baat kar raha tha kahin…
Nahin nahin meri beti aisa nahin kar sakti. Hey bhagwan main kaise pata kaun. Kuch samajh mein nahin aa raha. Dimaag shaq kar raha hai lekin dil manne ko taiyyar nahin hai. Koi to upay batao.
Sonali ne apni maa ko soch mein dooba dekhkar kaha “Mummy kya soch rahi ho. Mujhe khana do. Bahut bhook lagi hai”. Aunty jaise neend se jaagi aur boli “Beti tu fresh ho ja main khana lagati hoon”. Sonali fresh hokar aur apni dress change karke khane ke liye baith gayi. Uski maa abhi bhi soch mein doobi huyi thi ki wo kaise baat shuru kare. Lekin fir usne apne sar ko jhatka aur socha ki kyun wo apni beti par shaq kar rahi hai. Usne Sonali ko ache sanskar diye hain. Wo kabhi koi galat kaam nahin kar sakti. Aur aisa sochkar usne apna dil shaant kar liya. Lekin kehte hain na ki ek baar shaq ka keeda dimaag mein ghus jaye to asaani se nahin nikalta. Reh reh kar wo jor maarta hai.
Lekin Aunty soch rahi thi ki maine to apne aap par kabu pa liya lekin kahin us Raj ne Sonali ke papa ko is bare mein bata diya to wo Sonali ki jaan hi le lenge. Unka gussa kitna khatarnak hai ye main hi janti hun. Hey bhagwan meri bachhi ki raksha karna. Ye Raj ki baat sach na nikle. Wo Sonali ke papa ke kaan na bhar paye. Use
Sonali ki bahut chinta ho rahi thi aur ho bhi kyun na unki iklauti beti jo thi.
Idhar Raj intezar kar raha tha Uncle ka. Lekin us din uncle jyada busy hone ke karan jaldi nahin aa sake. Raj bahut pareshan tha uncle ke na aane se. Baar baar office mein poochta uncle ka koi phone aaya ki wo kab aayenge lekin har baar nirasha hi haath lagti. Kai baar to office ke staff ne use daant diya lekin wo to pakka besharam tha. Dheere dheere samay beetta gaya aur Raj ka school time poora ho gaya aur wo apne ghas mayus hokar aa gaya. Usne socha dubara mauka dekhkar baat karega.
Lekin na to Raj ko mauka mila dubara aake baat karne ka aur na hi Sonali ki mummy ne Sonali se is bare mein baat ki. Raj ne kai baar koshish ki Jay se panga lene ki lekin Jawed Bhai saath mein the to uski daal nahin gali. Usne poori koshish ki Jay aur Sonali ko school aur pados mein badnaam karne ki lekin uski har koshish par paani fir jaata tha.
Samay beetta gaya aur march ka mahina aa gaya. Ab march ka mahina hai to usme Holi bhi aayegi. Holi aayi aur sab uski tayyari mein jut gaye. Sabse jyada Jay aur Sonali excited the kyunki ye unki pehli holi thi saath mein. Idhar Raj bhi koi nayi saazish rachne mein laga hua tha. Ab ye Holi kaun kaun se rang dikhayegi ye to waqt batayega.
Ab Holi ke din to school mein chutti hoti hai to usse ek din pehle hi school mein holi manane ka faisla kiya gaya yaani choti holi wale din. Jay aur Sonali bahut utsuk the is holi ko lekar aur iska karan aap log jaante hi hain. Jay ne rang kharida, pichkari kharidi, khusboo wala gulaal kharida job hi wo afford kar sakta tha sab khareeda. Sonali ne sirf gulaal liya aur kuch sweets bhi. Isi tarah baaki bachhon ne bhi apni apni tayyari ki thi holi manane ke liye.
School as usual laga aur classes huyi. Waise to school poora din chalne wala tha lekin bacchon ke recess mein hi holi khelne se school walon ne aadhi chutti declare kar di. Ab bachhe aram se holi khel sakte the.
School ka mahaul kaafi khushnuma tha. Sab taraf students nach rahe the, holi ke gaane gaa rahe the, ekk dusre ke upar rang aur gulaal uda rahe the. Koi kisi ke baalon mein rang bhar raha tha to koi kisi ko pehchanne layak nahin chod raha tha. Koi kisi ko mithai khila raha tha to koi kisi se gale milkar apne gile shikwe door kar raha tha. Har taraf masti ka mausam chaya huya tha.
Jay aur Sonali bhi ek kone ki talash mein yahan se wahan bhatak rahe the kyunki saare bachhe faile huye the poore school mein holi manane ke liye to ye dono kahan jayen. Jay aur Sonali dono baaki bachhon se bachte fir rahe the kyunki pehla haq rang lagane ka woe k dusre ko dena chahte the. Lekin unhen jagah mili bhi to class mein aakar. Dono ne pyaar se ek dusre ko gulaal lagaya. Jab Jay gulaal laga raha tha Sonali ke gore gore gaalon par to Sonali ki sharmo haya dekhte hi banti thi. Thoda jhijhak rahi thi, thoda Sharma rahi thi lekin jab gulaal lag gaya to kya kehna.
Dono jee bhar ke ek dusre ke saath gulaal se khele aur Sonali ki laayi huyi mithai bade pyaar se ek dusre ko apne haathon se khilai. Black board ke paas ka area poora gulaal se rangeen ho gaya tha lekin dono ko is baat ki fikar kahan thi. Thodi der samay ek saath beetane ke baad dono bahar aa gaye aur baaki doston ke saath jee bhar ke holi khele. Poori dress rangeen ho gayi thi lekin kisi ko us din koi hosh nahin tha. Lag raha tha ki jaise sab bhang ke nashe mein hain.
Jawed bhi apni mandali yaani school cricket team ke baaki sadasyon ke saath wahan upasthith the aur holi ke maje mein magan the. Halanki wo jyada holi nahin khel rahe the lekin unka utsaah baaki bachhon se kisi bhi prakaar kam nahin tha. Ghar se wo bhi kai prakaar ke pakwaan banwa kar laye the aur sab sadasya, Jay aur Sonali samet, unke laye huye pakwano ka swaad lete huye nach gaa rahe the aur gulaal hawa mein uda rahe the.
Ab Holi ka avsar ho aur usme huddang (Chedkhani) na ho ye kaise sambhav hai. Sab masti mein choor the to kai aise bhi the jo rang mein bhang dalne ka kaam kar rahe the. Kisi ke baalon mein chemical wale colour dal dena, unke daaton ka jabardasti colour se manjan karana, aankhon mein colour dal dena aur bhi isi tarah ke kai kaam mein unko maja aata tha. Jab Jawed ne aisa hote dekha to unhe bahut gussa aaya aur un bachhon ko samjhate huye kaha “Bhai aise kyun kar rahe ho. Holi khusiyon ka tyohar hai usme aap dusron ko dukh kyun de rahe ho”
“Maana holi rangon ka tyohar hai lekin jo rang aap dusro ke chere par pot rahe ho unse kuch seekh lo. Sab ek sandesh dete hain jinhe aapko jeewan mein utarna chahiye. Udharan ke taur par laal rang tej aur shakti ka prateek hai. Iska matlab ye nahin aap kamjoron ko satayen balki iska matlab hai aap dusron ki bhalai Karen. Majlumo ke saathi bane, desh ke liye khoon bahayen. Gulabi rang pyaar, care, gusse aur hinsa se bachav ko darshata hai jo hamein seekh deta hai ki halaat chahe kaise bhi ho hamein gusse aur hinsa se kaam nahin lena chahiye. Sab chote bhaiyon aur behnon ko sneh ki najron se dekhna chahiye na ki unhe satana chahiye.
Bhoora rang humein jameen se jude rehne aur saaf soch rakhne ki prerna deta hai. Mana aap kitne bhi ameer kyun na ho lekin aapko apne paise ka galat fayda nahin uthana chahiye. Sunhera rang himmat, atamvishwas aur ichhashakti ko darshata hai aur hamein ye seekh deta hai ki agar aap mein ye teeno cheezen hain to aap bure se bure haalat ka asani se saamna kar sakte hain. Peela rang faisla lene ki shakti, ghabrahat se mukti, dimaagi taakat aur communication skills ki taraf ishara karta hai. Aap is rang ko agar apne jeewan mein utar le to aap Einstein, Jagdish Chandra Basu, AryaBhatt aadi bhi ban sakte hain.
Hara rang, paisa, daulat, haryali, santulan, naye naye vichar ko sochna aadi ko darshata hai jo apne aap mein bahut jaroori hai. Hare rang se yaad aaya sab ko kam se kam ek ped apni life mein jaroor lagana chahiye. Hamein bhale is uske fal khane ko na mile lekin dusron ka kuch to bhala karke punya kama hi sakte hain.
Neela rang shanti aur ugra emotions ko kabu mein rakhna sikhata hai. Agar aap apne aap par kabu pa lein to bahut kuch apni life mein paa sakte hain. Jamuni rang meditation ki or ishara karta hai. Aapki imagination ko ye ek nayi unchain par le jaa sakta hai.
Isi tarah har rang apne aap mein ek ishara karta hai ki aapka apne jeewan ke prati najariya kaisa hona chahiye. Ab aap log bataiye ki is tarah sabko pareshan karne ki bajay agar in rangon ko apne jeewan mein apnaye to aapka to bhala hoga hi baaki logon ka bhi bhala hoga. Ye sab baatein sunkar wo ladke shaant ho gaye aur apne kiye ke liye Jawed se maafi maangi. Jawed ne unhe gale laga kar maaf kar diya aur iske baad sabne milkar holi ki wo dhoom machayi ki kya kehne uske.
Lekin kehte hain na ki kutte ki poonch sau saal nalki mein rahe tab bhi tedhi ki tedhi rehti hai. Baaki bachhon mein Raj bhi tha jo baar baar Sonali ke saath holi khelne ki koshish kar raha tha lekin Sonali uski taraf koyi dhyaan hi nahin de rahi thi. Isse Raj bahut gusse mein aa gaya aur anaap sanaap bakne laga dono ke baare mein.
Uska itna kehna tha ki Jawed aur baaki kuch bachhon ne uski dhunai kar di (Jawed ne kaha tha ek thappad se kuch nahin hoga to uski pitai hi karwa di). Gusse aur dard ka ghoont peekar wo wahan se nikal gaya aur seedha Sonali ke ghar ki taraf chal diya.
To be continued....
Swati chourasia
12-Oct-2021 07:16 PM
Very nice 👌
Reply
Shalini Sharma
30-Sep-2021 07:42 PM
Nice
Reply
Punam verma
06-Sep-2021 03:26 AM
👍🏻👍🏻👍🏻
Reply